Thursday, December 29, 2011

Bazm-e-lihaaf

Mere alfaaz mere hi khilaaf hain
Neeyat-e-shouk pe laachaari ka lihaaf hai
tumhe dekh loon
toh jee loon
Tumhe chhoo loon
fir paana chaahoon

Dard ke har sheh pe
Tumhare naam ki tadbheer hai
Main jahaan bhi jaaoon har jagah pe
Tumhari hi tasveer hai

Kyun main khud se milta nahi
Poore ho aise khwaab boonta nahi
Roz manzil pe haar jaata hoon
Par apne shikast ki aawaaz main sunta nahi

kuch kahoon to dil ko sukoon mile
kuch likhoon ki aaj mere honth hain sile
Par kya karoon....
Mere alfaaz mere hi khilaaf hain
Neeyat-e-shouk pe laachaari ka lihaaf hai

Monday, December 19, 2011

In the middle of nowhere !!!!!


Its where I am : In the middle of nowhere
Its where I belong:In the middle of nowhere

Lonely as the vast expanse of the sky
Disgrace to the light of my own eyes
Searching for Moon
Holding the stars
You brought me near
Then went so far
Now for this world, I dont care
Lying alone in the middle of nowhere


My thoughts,my emotions are so perplexed
Time nudges at me with a fit of jest
It shows me the sky
It shows me the ground
I am in air feeling no one around
Wish you could hold me from somewhere
I am lying in the middle of nowhere

Waves are holding me behind in the ocean
I will to surpass my every emotion
I can see the waters cutting the edge
Not possible for me to render this homage
As Social dogmas and belief
Take away from me my Relief
Keeps my legs stranded from everywhere
Making me ly in the middle of nowhere



Want to be with you
Want to say I need you
But i wish u cud be there
Love: I am In the middle of nowhere








Sunday, December 18, 2011

Antardwand-Khudaa~masiyaah


ae khudaa teri khudaai raas nahi aayi
apne masiyaah ki masiyaahi raas nahi aayi

na maula tere dar pe sukoon milta ab
na us masiyah ke sukoot se nijaat milti hai
do kadam main tujh tak badhaa ke rukta hoon
do kadam wo mujh tak badhaa nahi paati hai

hazaar hasraton ki qataaren hain
aur inki ham pe kai guna bandishen hain
us pe is duniya ki riwaajen hain
un pe teri bhi riyaayaten hain


tere jumbish mein ae masiyaah
tere boze mein ae maula
bechain hai bandaa
koi raah ise batlaa
koi raah ise batlaa

Kitni khushnumaa raat hai.....


aankhen moond kar
khwaabon ko chun kar
palkon ki qataaron pe
os ki nami par

tum ho aur hoon main
tumko baahon mein loon main

koi hame dekhe
iska khauff nahi hai
band aakhon mein
khwaab hamare mehfooz hain

ae waqt dheeme paanv aa
haqeeqat ki boondon se na mujhko jagaa

mere surg khwaab hi mera sarmaaya hai
tera faisla mujhe nahi samajh aaya hai

rehne de mere naadaan dil ko apni zidd pe
kya milega tujhe isse iske khwaabon ko cheen ke

aankhen moond kar
khwaabon ko chun kar
palkon ki qataaron pe
os ki nami par

main hoon aur mera chaand hai
kitni khushnuma raat hai.....
kitni khushnuma raat hai.....

Thursday, November 10, 2011

Sozish.....

haathon ke chand lakeeron ki
mere nazm, mere tehreeron ki
ek jazbaa bemukammal aur la-ilaaj hai
aur tanhaai.. tanhaai... behisaab hai

ikhtiyaar ki ek had hai yahaan
jisme beikhtiyaari ka sabab bhi hai
baadakhwaar si tabiyat mukarrar hai
aur labon pe mai ki talab bhi hai

kahin haath chutne ka dar hai
kahin rishton ke bikharne ka khauff hai

ek dehshat mein jee rahe hain hum
apni hi ummedon ko kinaara dene ki koshish mein
ek azaab mein khud hi se joojh rahe hain
aur anjaam ye hai ki:
zindagi basar ho rahi hai sozish mein

Tuesday, October 4, 2011

~~Rehne de ae-dil ~~

rehne de ae-dil
kab tak jee ko thakaayega
tu makaam pe bemakaam ho kar
jaayega to kahaan jaayega

na shiddat thi teri chaahat mein
na hi khwaahishon mein junoon tha
kahen to kahen kya tere baare
bas ek mukarrar-e-sukut tha

sadaa khayaalon ki bouchharen thi
aur surg teri raaten thi
hairat-e-haalaat the darmiyaan
dhadkanon ki tanha nigaahen thi

ab yahi zindagaani hai
ae-dil jaane tune kya thaani hai
kab tak ..aakhir kab tak
tu apne jee ko thakaayega
tu makaam pe bemakaam ho kar
jaayega to kahaan jaayega...
kahaan jaayega...

Saturday, September 17, 2011

Tanhaain tujhe main kaise naapun.....

raakh mein rooh ghisoon apna
ya aag ke lapton se seene ko taapun
andhi is raat ke daayre mein
tanhaain ko main kaise naapun

surg palkon pe boonden
rooh ko jalaa rahi hai
wo nazar mein hi hai
fir bhi nazar nahi aa rahi ahi
kis tarah ...aakhir kis tarah
main sukoon ka daaman thaamun
tanhaai ko main kaise naapun

daayr-o-dharam ulfat-e-karam
bojhal ho chuki hai seene pe
koi panaah ab raas nahi aati
gunaah kar raha hoon jeene mein
mere kamre ki band chaar deewari mein
apne siskiyon ke goonj ko kaise baandhun
ya aag ke lapton se seene ko taapun

ho gaya sang ab ye dil
haqeeqat ne jazbaat ki aankhen moond di
jiski aankhon aur lafzon mein zeest kaayam thi
usi ne raahon mein khwahishen roundh di

kya karoon ki tumhe main itna na chaahoon
ya sukoon ki ek thandi os tumhari palkon se le aaoon
kis daayre se main apni mohabbat ko baandhun
Ae-tanhain..tujhe main kaise naapun
                                ......kaise naapun

Thursday, August 18, 2011

Saath hoon tere main

Saath hoon tere main
Khwaab hoon tera main
Sukoon bhari raat hoon main
Os ki pehli boond hoon main
Tum maah aur tab hoon main
Aankhon meinbasa khwaab hoon main
Tum mujhse ho aur tumse hoon main
Raahon pe tumhari manzil hoon main
Raunakon bhari ek mehfil hoon main
Shahaadat hoon teri dhadkan hoon main
Ibaadat hoon teri dua hoon main

Tumhare honthon ke kampan mein
Tumhare dil ki  dhadkan mein
Tumhare khayaalon ke uljhan mein
Tumhare ang ke har kan kan mein

Saath hoon tere main
Khwaab hoon tera main

Saturday, August 6, 2011

Mirage.....!!!!!

lehron pe tair raha tha wajood mera
hawaayen mujhe dishaaon mein baandh rahi thi
main lehra rah atha ye soch ke ki ye aasmaan mera hai
khushi maano mere dhadkanon ko naap rahi thi

madmast ho kar, sudh budh kho kar
har lihaaz ki dehleez ko main laang raha tha
saahil se milne ke liye is kadar machla hua tha
ki khuda se main ek kinaara maang raha tha

hawaaon ne rukh badla aur meri rooh tham si gayi
ye azaab mein tabdiil hui aur saansen sahem si gayi

bas kareeb hi tha us kinaare ke
bas chhoone bhar ka faasla tha
tabhi ek chattan kahin se nazar aaya
jo shaayad mere nazae mein na tha

is zalzale mein main kinaare se to reh gaya
us chattan se takraaya aur wahin pe bikhar gaya
ab samet raha hoon apni hi bikhri boondon ko
aur samet raha hoon apne muraad ki bikhri kishton ko

Friday, April 29, 2011

I wil always be two steps behind

No matter where you go
No matter what you know
No matter where you be
No matter where you see
You will always be there in my mind
And i will always be two steps behind
Miles can be covered within the frame of time
This Distance between you and me will always remain Mine
I will love you from a distance
with my heart craving for you
I will live in a trance
Of the moments spend with you
I will make my heart and my love rhyme
I will always be two steps behind

Caress you with my eyes
Embrace you in my thoughts
Feel you with the gentle breeze
Smiling at the ways you tease
Our Love is eternity that will never die
With your heart beat my beats rhyme
Whenever you will feel for me you wil feel fine
Love .....I will always be two steps behind

The desire of our hearts sounds permanent
As boundaries disappear in oblivion
Out togetherness is vital rest is all impertinent
Love binds our souls in union
You dont need to worry .....
You dont need to find .....
You need me or not
I will be always two steps behind

Tuesday, April 26, 2011

I feel Lifeless

i have been uprooted  from my soil
And in your Love  deeply rooted
In lieu i m facing  a turmoil
Wondering Destiny is so well suited

Somewhere in my silence embedded
Will reap my cravings for you
Somewhere in my words unsaid
Will speak my longing for you

You have now gone back into your shell
Justifying every act before i could tell.....
Not to go as the sky doesnt owe me anymore
Not to go as the earth doesn't wish to adore

I dont know where to go
I couldn't find peace even in God's shelter
But i dont know where is God's mercy
As i have often asked him to tel her.....
That she means my world to me
Without her i am so directionless
I was alone but not lonely
But now without her, i feel lifeless

Wednesday, April 20, 2011

My Love .... My Peace


Peace to me sounds confusing
Loneliness with me is always musing
silent lanes ...lonely pastures
Pushes me into thoughts of you

i have been uprooted  from my soil
And in your Love  deeply rooted
In lieu i m facing  a turmoil
Wondering Destiny is so well suited

The days pass by and I wanna love you            
The nights crave by and I wanna love you
The thoughts grapple me and I wanna love you
The moments speak of silence and I wanna love you

Your love means all to me
But lack of togetherness grips fear in me
Why does this world holds an opinion so vital
And makes me feel you are not near to me

I feel peace in you when I feel you as only Mine
Reality puts me on a rack, makes me feel not Fine
So the loneliness  gets a chance to muse
My Love .. My Peace  looks confused!!!



Dooriyan

dil ne teri nigaah se chaahat ko jaana hai
dil ne teri dhadkanon se ulfat ko pehchana hai
dil ne jab jab saans li hai..
tere hi dum se li hai
dil ne apne wajood ko ab tera jaana hai

tum se hi duniya hai
warna sab bemaani hai ae-jaanam
tum se hi waqt ke chalne ka ehsaas hai
wagarna sab thanmaa thamaa sa hai ae-jaanam

main nahi jaanta ye duniya ki ritiyaan
main in sab se pare hona chaahta hun
bas tumhe kareeb bitha kar apne
tere nigaahon se maikashi peena chaahta hun

dil ki har dhadkan tujhme panaah chaahti hai
meri sukoot-e-wafaa har lamha tumko talaashti hai

bhar lo yun aagosh mein
ki tinke bhar ka bhi faasla na rahe
pighal jaao meri baahon mein tum aise
ki duur rehne ka ye silsila na rahe

Monday, April 18, 2011

Nigaah-e-wafaa

tumhari nigaah mein mere faaslon ka makaam moujood hai
tumhaari chaah mein meri chaahat ka wajood hai
tumhaari saansen hain jisse mere navz chalte hain
tumhaari dhadkanen tez hoti hain aur hum machalte hain

tumhaare maathe pe shikan,
tumhaare tasavvur mein uljhan,
tumhaare aankhon mein ashk
tumhaare bebaak dhadkan

in sab ka main tumse faasla rakhunga
bas pyaar ki bouchhar hogi
tumhari har raah ka main kaafila banunga
zindagi tumhaari gulzaar hogi

is kadar chaahat ko apne seene mein mehfooz rakhunga
ki kabhi kisi ko gumaan nahi hone doonga
har lamhaa meri nigaahon ke paas tum rahoge nahi
par main apni nigaahon se tumhe kabhi nahi khone dunga

izhaar -e- mohabbat

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya
kis kadar honthon mein kaayanaat dabaa rakha tha
aankhon ki nami mein hasraton ko sajaa rakha tha

aaj jab taskeen -e-ijtiraab ka ye anjaam aaya
hm ko izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya
in chand alfaazon mein zeest simat gayi apni
kuch moun khayaalon ko haqeeqat mil gayi nayi
vaadon ke aitbaar ko ab nibhaana aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
yun hi ab aagosh mein thaam ke rakhunga
ta-umr aapko  ae-naaz aaraam se rakhunga

sharm-o-hayaa ko aapki nigaahon se peena aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

Tuesday, March 29, 2011

Forbidden Love


Enclosed within the walls of Our heart
Our Love is lying in serenity…..
Unruffled by the sarcasms of this world
And untouched by world’s scrutiny

We  have pledged to keep it chaste
Make our Love reach a higher taste
In lieu somewhere we feel it to be alone
But alas! This we had always known

From Dusk to Dawn
From Dark to Light
From rivers to oceans
From earth to heavens
A desire breathes and blows our emotions
For our love is so true…but it stands forbidden

But we will share our togetherness forever
I assure you I will let you down never
My arms will  long to embrace you
My Love will await to caress you

I know our love is hidden
I know our Love stands Forbidden
It will be true as I will always stand by you
It will be true because I will always Love you

Wednesday, March 16, 2011

ibaadat-e-mohabbat

lamhon ka mizaaz garam pad jaata hai
jab tumhaare tasavvur aur mere khyaal ka visaal hota hai
mere labon ka har sila naram pad jaata hai
jab tumhare geele labon se chaahat ka izhaar hota hai

tumhari maikash nigaahon se chaand ko rashk hota hai
tumhari dilkash adaaon se maahtaab noor churaati hai
tumhare tabassum se sard hawaayen ravaan hone lagti hain
tumhare anjuman mein aane ke liye kaayanaat aas lagaati hai

hm bhi na jaane kabse tumhare aas mein baithe hian
milke ibaadat karna hian mujhe apne noor ki
kyun ki ab mohabbat hi ibaadat ban gayi hai meri
bahot shahaadat karna hai apne huzoor ki

Thursday, March 3, 2011

Antardwand- Khwaab aur hum


Koi khwaab hai bheeni bheeni si palkon par
Raatein jisne karwaton mein gawaa diya
Tumhare lab the kaanpte hue mere labon par
Aur humne use apna pyaar jataa diya

Tum raho sadaa baahon mein
Apne aagosh mein main tumhe panaah de doon
Kaayanaat ko beparwaah kar de hm dono
Aur main un madmast nigaahon ki maikashi pee loon

Ye hai ch[a]nd bekaraar mere armaan
Jinke lutf mein hm jee rahe hain ae jaan
Ab peher aur lamhon ka gumaan hota nahi hai
Tum ho to waqt saans leti hai
Warna gumshuda sa lagta hai mujhko ye jahaan

Wednesday, February 23, 2011

Antardwand-Khayaal

saheme saheme se mere khayaal
jaane kyun har roz karte hain majaal
ki aaj mukammil ho kar tanhaai pe fateh karna hai
ki kal is mukarar raat ko subah se rusvaah karna hai

ye raat is kadar mukarar ho kar aati hai
maano kaali siyaahi mein umr dubo rakhi ho maine
aur ye subah aati roz hai magar khaali haath.... jaise
kaanton ke paiband se ungliyaan chubho rakhi ho maine

ab wajah ijaat kar ke
saansen jazbaat se dooriyan karne lagi hain
meri kadmon ko gumraah kar ke
meri raahen ab manzilen dhoondne lagi hain

main jaaoon to jaaoon kahaan
so khada hoon usi mod pe
jahaan pe zindagi ko maine rusvaah kiya tha
jahaan zindagi gayi thi mujhe chhod ke

kadmon mein jaise ab bhanvar lipte hue hain
talaash raha hoon main tumhe har ch[a]nd mein
par tum nahi to ye kaayanaat numaaish ke siva kuch bhi nahi
aur mere khayaal sehem gaye hain isi antardwand mein



Friday, February 18, 2011

Antardwand - Zindagi

seene mein aag jal rahi hai
shabnam aankhon se beh rahe hian
main kaun hoon , main kyun hoon
mere antardwand mujhse keh rahe hian

aankhon mein jal raha hai
Aansoo ban kar pighal raha hai
uthta hai gubaar ban ke tasavvur mein
har khwaab in aankhon mein dhal raha hai

ye kya zindagi hai.....
ye kyun zindagi hai.....

jis aaftaab se roshan hota hoon
wahin lou mere daaman ko jalaane lagti hai
main jisse pyaar karta hoon use paa nahi sakta
aur unki kami mere jee ko sataane lagti hai

badgumaani ke is paiband ne thaam rakha hai
jaane mere antardwand ne mera kya anjaam rakha hai
mohabbat aur zamaane ki ye ranjish
dil mera seh raha hai
main kaun hoon , main kyun hoon
mera antardwand mujhse keh raha hian

Sunday, January 30, 2011

adaa-e-ulfat

akela ek shaks tha
jiska koi nahi lakshya tha

bas chal raha tha jahaan hawaayen beh rahi thi
bas jee raha tha kyun ki saansen chal rahi thi

ek daleel khud se karta rehta tha:
chahoonga usko jisse mujhse pyaar hoga
ho jaaoonga uska jo mujh par nisaar hoga

tabhi chaand ki  kiranen lehraate hue aankhon pe padi
meri dhadkanen ghabraate hue tham gayi

is zulm-e-mohabbat pe hame aitbaar na tha
ab kisi ke bhi jazbaat pe hame ikhtiyaar na tha
par uski aankhon se wo do moti jab baras gaye
unki nigaah jab mere deed ke liye taras gaye
fir aitbaar hua
haan hame bhi unse pyaar hua
dil fir arsh ki bulandiyon pe behne lagaa
wo mere kaanon pe izhaar-e-mohabbat kehne lagaa


Tuesday, January 25, 2011

Chand aur Chakor


meri aankhon pe bas chandni padti hai
aur chaand door baadal mein soya rehta hai
us baadal ki aagosh mein chaand ko dekhkar
ye dil ek ajeeb si ghutan mein khoya rehta hai

main chakor ki tarah duur baitha...
apne chaand ko dekhta rehta  hun
uski chaandni ko nigaahon mein ghol kar
apne khwaabon mein maikash bharta hun

un chand kiranon ki chheeton se
main apni zindagi mein noor bharta hun
kaash main lafzon mein bayaan kar paata
ki pyaar tumhe kita mere huzoor karta hun

tum nazaren ferti nahi ho mujhse kabhi
par baadal mein samaa jaati ho
ye neeyam hai kudrat ka
ki tum dehleez ko laang nahi paati ho

ye chakor tumhe hi chaahta aaya hai
ye chakor tumhhi chaahega
ye haarega na yun mohabbat mein
ek din tumhe zaroor paayega!!!!!

Antardwand-4 : mere is raat ki subah nahi

Raat bhar unki deed ko aankhon mein saja ke rote rahe
sote sote uthe fir uth uth ke sote rahe

karwat bhi lena munaasib na samjha
kahin tumhara khwaab khayaal-e-gubaar mein gum na ho jaaye
meri chaahat mein jo saadgi hai
khauff hai mujhko ki kahin wo mera junoon na ho jaaye

kyunki roz raat ko mehfil sajti hai
aur mere tanha adhure khwaab seene pe dastak dete hain
main laachaar hun kyunki ye khwaab mere khwaab hi rahenge
fir bhi ye apna farmaan har roz arz karte hain

maain aankhen na kholun bhi to kab tak
apnihi dhadkanon ko kab tak ansuna kar doon
khud ko main kaabu mein rakh leta hun
par apne in lafzon ko kiase gumshuda kar doon

humraaz hoon aaj main apne huzoor ka
darta hun ek raaz na ban jaaun kahin
main tumhe pyaar na karoon aisi koi wajah nahi
par kya karoon : mere is raat ki subah nahi

Killing me softly...


my own desires aRE CONSPIRING AGAINST ME
A HINT OF LIGHT AND THEN PITCHED DARKNESS IS ALL WHAT I ACHIEVE
MY OWN HEART HAS FELT SUCCUMBED TO MY DESTINY
YET IN THIS ARRAY OF CONFLICT, LUV IS ALL THAT I BELIEVE


LUV.....
FOR WHICH ANY REASON STANDS NO JUSTIFICATION
FOR WHICH WHAT IS RIGHT IS JUST ANOTHER QUESTION
FOR WHICH SOMETIMES OBSESSION OVERPOWERS RELATION
FOR WHICH BELOVED IS YOUR SOLE DESTINATION

lUV RENDERS LIGHT TO THE DARKNESS ALL OVER
tHEN STEALS THE RAYS AS IF THEY WERE NEVER
EMBRACES YOUR BODY YOUR SOUL SO INTENSELY
AND MOULDS YOU INTO A PERSON SO STRANGELY

THAT YOU DONT REALISE AT THE START
LATER YOU DONT WANT TO REALISE
LYING UNDER THE MOON YOU BATHE IN ITS LIGHT
BUT STILL ITS NIGHT WHERE DARKNESS RESIDES

COMPOSED CALMNESS, SERENITY, ETERINTY,PERMANENCE
THESE WERE MY BELIEF BEYOND TRANSCENDENCE

IN THIS CONFLICT OF MY MIND N MY HEART
BODY N SOUL , DREAMS N REALITY
LIFE N DEATH,
A FEEL IS THERE N THAT IS IN ALL OF THESE
WHICH BREATHES IN EACH OF THEM SO STRANGELY
THAT I BREATHE MY DEATH AS I COUNT THE LIVES
WHICH COMES AND PASSES BY KILLING ME SOFTLY

Sunday, January 16, 2011

Antardwand-3 : The feel of being so incomplete

The feel of being so incomplete
Is gripping me from within
I cant cut it loose
As it also wants to stay in

I still love you ..
Being aware of all the realities
i dont know where to wander in peace
i am strolling down strange alleys

Oh dear dont feel bad
for my words are real
i love u a lot
and this is not unreal

Trust me, behold me..
Dont treat me as obsolete
If u r not there with me
The feel of being is so incomplete!!!

Saturday, January 15, 2011

Takfeen-3

aaiye huzur kis guroor mein wahem ko thaamen baithe hain
ye daaman hai raqeebon ka jo pairahan se baandhen baithe hain

raqeebon ne taamir ki hamari mohabbat ke khilaaf
aur aap unhi ko apne anjuman mein bulaye baithe hai

hans liya , bol liya ab kya nikaah tak baat jaayegi
unhe chodiye aap to khud bhi naadaan bane baithe hain

kaafir paraston ke rubaru kaun si nek justju panaah le payegi
wo zakhm dete hain mujhko aur aap muskuraye baithe hai

chir kar seena mera jab dil mein unhone jhaanka
to usme apni surat dekh wo khud pe itraaye baithe hai

khushwahemi mein hai wo isiliye aaj sach pe naqaab hai
jab aankh khulegi tab dikhega unko wo kya kar baithe hain

Tishnagi bhi na jaane kis umeed ki aas lagaye baithe hain
raeng rahe hain aur hausle arsh pe sajaaye baithe hain

Takfeen-2

aao aur fir hame ranj de jaao
zindagi nahi to hame fir se gham de jaao

na thakti hai aankhen, na rukti hai saansen
apna deed de jao, ye wahem de jao

saher se visaal ki khwahish dil mein liye jaaga hua hoon
mujhe nahi to in aakhri shammon ko inka karam de jao

aao na ki fir se mujhe karaar nahi hai
aakar mujhe tum apna nazar-e-karam de jao

le jao sab kuch jo kuch bhi bacha hai mere paas
ae huzur isi bahaane tum mere dar pe to aao

na khataa ki fir bhi sazaa ke haqdaar ho gaye
justju gar ye hai to mujhe zakhm de jao

par ho sake to ek dafhaa zarur mere paas aao
mujhe jiski sazaa mili wo gunaah bataa jao
mujhe tumse khauff hai fir bhi ae-nafas mere
apne nafrat ka mujhpe koi dastakhat de jao

Takfeen-1

jaao ki ab chaand ko tumse karaar nahi hai
suraj ki roshni ka bhi tumse koi darkaar nahi hai
na  mujhme ab wo junoon hai zamaane se ulajhne ka
ab to mujhe mout ka bhi intezaar nahi hai

Thursday, January 13, 2011

Shaam ki antardwand.....

waqt pankh laga le udne lagta hai
sooraj haule haule andhere se judne lagta hai
aurr is peeli saanjh mein sahemti jaati hai roshni
gubaar hawaa mein khayaalon sang udne lagta hai

main nikalta hoon bechain kadmon se
haqeeqat se kuch sehma hua...
khwahishon mein uljha hua...

aur jaata hoon apne chaand ke yahaan
aur use akela dekh muraadon ko umr mil jaati hai
is waqt  zindagi sukoon paati hai

ye waqt main nahi chaahata ki koi mujhse chheene
kaash ki main thaam loon waqt ke pankh ko
taaki meri saanson ko mohallat mile aur ye lage jeene

khwahishen arsh pe rehti hain
aur yak-a-yak ho jaati hain mand
zeest pal mein apni se paraayii ho jaati hai
aur chhaa jaati hai mujhpe : shaam ki antardwand

Saturday, January 8, 2011

ek khwaab hai .....
ek raat hai.....
ek chaand hai aur ho tum
aur khwahishon bhari hai chandni
jiske noor se dhul rahe hain hum
aaj jee lena chahata hun
aaj pee lena chahata hun
un nigaahon mei jo ziyaa hai
usse mehsoos karna chahata hun

aise aafreen adaa ki numaaish baar baar nahi hoti
meri adhuri khwahish bhi poori baar baar nahi hoti

taaron ki baarishen ho
kahkashan ka noor ho
maang ho mere huzoor ka
jisme sajaa mera sindoor ho

Antardwand-1


zindagi mein faili hui hai kaisi ye dhund
ki ho gayi hai saari manzilen ab gum
khwahishen ab mukammil hona ho gayi hain band
mere subah aur mere raat ke beech chhayi hai Antardwand!!!