Saturday, January 15, 2011

Takfeen-3

aaiye huzur kis guroor mein wahem ko thaamen baithe hain
ye daaman hai raqeebon ka jo pairahan se baandhen baithe hain

raqeebon ne taamir ki hamari mohabbat ke khilaaf
aur aap unhi ko apne anjuman mein bulaye baithe hai

hans liya , bol liya ab kya nikaah tak baat jaayegi
unhe chodiye aap to khud bhi naadaan bane baithe hain

kaafir paraston ke rubaru kaun si nek justju panaah le payegi
wo zakhm dete hain mujhko aur aap muskuraye baithe hai

chir kar seena mera jab dil mein unhone jhaanka
to usme apni surat dekh wo khud pe itraaye baithe hai

khushwahemi mein hai wo isiliye aaj sach pe naqaab hai
jab aankh khulegi tab dikhega unko wo kya kar baithe hain

Tishnagi bhi na jaane kis umeed ki aas lagaye baithe hain
raeng rahe hain aur hausle arsh pe sajaaye baithe hain

No comments:

Post a Comment