Sunday, January 20, 2013

Intezaar!!!!!

Tumse milne ki intezaar aise hai
subah ka intezaar raat ko jaise hai

Aankhen band nahi hoti
Neend bojhal nahi hota
khayaal mand nahi hoti
Raat ojhal nahi hota

Taare tim timaate hi ja rahe hain
Adure khwaabon ko sajaate hi ja rahe hain
Aasmaan khamosh hai.....
Aur ye raat moun hai.....
Tumhare bina ye kaayanaat mujhse poochte rehti hai
tu kaun hai..tu kaun hai

kahkashaan ki nami hai chhayi
dil ko chaand ki kami hai sataayi
neend bojhal nahi hoti
raat ojhal nahi hoti..kyun ki
subah ki intezaar raat ko kuch aise hai
mujhe tumse milne ki intezaar jaise hai

ek din wo tha !!!!!

~un nigaahon ki maikash ka kya kahen~
~un nigaahon ki kashmakash ka kya kahen~

ek din wo tha
wo aaye the mohabbat bhar kar.....
aitbaar ishq tha
aur mujhe paane ki zidd par.....
chalna tha har raah meri baahen thaame.....
izhaar-e-ulfat adaa hoti thi har lamhe.....
ek wo bachpana tha aur masoom si chaahat thi.....
meri bhi or se utni hi masoom si ulfat thi.....
humne bhi chaaha tha unhe utni hi shiddat se.....
par kya pata tha yehi hona likha tha meri kismat se.....

aaj wohi main hoon
wohi ishq hai..woh junoon nahin!!!!!
aaj wohi wo hain
zamaana hai..magar josh nahi!!!!!
aandhi duniya ki bahaa le gayi josh-e-junoon.....
wo hain kisi aur ke saath aur yahaan main hoon.....
unki ehsaas ki kami ko harfon mein bayaan kar raha hoon.....
un nigaahon ki nami ko aaj fir jawaan kar raha hoon.....

~un nigaahon ki maikash ka kya kahen~
~un nigaahon ki kashmakash ka kya kahen~

Saturday, January 19, 2013

Ab ye raat basar hota nahin!!!!!


wo kehte hain unhe humse pyaar hai
wo kehte hain unka dil hum pe nisaar hai
phir bhari mehfil mein humein pehchaante kyun nahi
phir humse sabke saamne nazar milaate kyun nahi

hm agar mohabbat hain unke
hm agar ibaadat hain unke
to kyun is tarah zaliil karte hain
waadon ko sharton mein tabdiil karte hain

maanga hi kya tha maine
sab kuch jo tha unpe kurbaan kar chuka tha
bas ek wafaa ki umeed thi
jise unke jafaaon ne qatl kar diya

ab kahen bhi to kya kahen
ab rahen bhi to kaise rahen
wo raqeeb in nazaron ko zabt hota nahi
goya ab ye raat basar hota nahi.....
ab ye raat basar hota nahi !!!!!