Sunday, April 21, 2013

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya.....

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

kis kadar honthon mein kaayanaat dabaa rakha tha
aankhon ki nami mein hasraton ko sajaa rakha tha
aaj jab taskeen -e-ijtiraab ka ye anjaam aaya
hm ko izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

in chand alfaazon mein zeest simat gayi apni
kuch moun khayaalon ko haqeeqat mil gayi nayi
vaadon ke aitbaar ko ab nibhaana aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya

yun hi ab aagosh mein thaam ke rakhunga
ta-umr aapko  ae-naaz aaraam se rakhunga
sharm-o-hayaa ko aapki nigaahon se peena aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

Wednesday, April 3, 2013

~ग़ज़ल~ अंजाने से चेहरे .....!!!!!


अंजाने से चेहरे हैं , अंजानी है ये राहें
चाहें भी तो क्या चाहें हम , जाएँ भी तो कहाँ जाएँ
एक जैसे अब दिखाई देते हैं
गम और खुशी की बौछारें
सब कुछ धुँधला रहा है
ह्म जाएँ तो कहाँ जाएँ


थामा था अभी हाथ ने , ज़िंदगी की चंद उंगलियों को
वो कसमे वादे यूँ कर गये , मेरी आदत पड़ गयी उन गलियों को
अब इन यतीम वादों की दुहाई में 
किस ओर ह्म उन्हे पुकारें
जाएँ भी तो कहाँ जाएँ
अंजानी है ये राहें


रुक-रुक के अब चलता हूँ , गिर-गिर के सम्हलता हूँ
फिर से ठोकर ना लग जाए , मैं आगे नही बढ़ता हूँ
मेरे सहमे से कदमों को , तेरी यादों के भंवर बांधें
अंजाने से चेहरे हैं , अंजानी है ये राहें
चाहें भी तो क्या चाहें हम
जाएँ भी तो कहाँ जाएँ


तुम सा क्यूँ दिखाई देता नही , हर शक्स का चेहरा
आँखों में हो मगर सामने आते नही , उफ़ ये ज़माने का पहरा
ह्म जाएँ भी तो कहाँ जाएँ
की वो नज़र आएँ
तन्हा काटे कटती नही
अकेली सी ये रातें


अंजाने से चेहरे हैं यहाँ , अंजानी है ये राहें
चाहें भी तो क्या चाहें हम , जाएँ भी तो कहाँ जाएँ
                        
                                     ~~~~~तस्कीन~ए~तिशनगी~~~~~

~Ghazal~Anjaane se chehre .....!!!!!

anjaane se chehre hain
anjaani hai ye raahen
chaahen bhi to kya chaahen hum
jaayen bhi to kahaan jaayen

ek jaise ab dikhaayi dete hain
gham aur khushi ki bouchharen
sab kuch dhundhla raha hai
hm jaayen to kahaan jaayen
thaama tha abhi haath ne
zindagi ki chand ungliyon ko
wo kasme vaade yun kar gaye
meri aadat pad gayi un galiyon ko
ab in yateem waadon ki duhaai mein
kis or hm unhe pukaaren
jaayen bhi to kahaan jaayen
anjaani hai ye raahen

ruk ruk ke ab chalta hoon
gir gir ke samhalta hoon
fir se thokar na lag jaaye
main aage nahi badhta hoon
mere sehme se kadmon ko
teri yaadon ke bhanwar baandhen
anjaane se chehre hain
anjaani hai ye raahen
chaahen bhi to kya chaahen hum
jaayen bhi to kahaan jaayen

tum sa kyun dikhaayi deta nahi
har shaks ka chehra
aankhon mein ho magar saamne aate nahi
uff ye zamaane ka pehra
hm jaayen bhi to kahaan jaayen
ki aap nazar aayen
tanha basar hoti nahi
akeli si ye raaten

anjaane se chehre hain yahaan
anjaani hai ye raahen
chaahen bhi to kya chaahen hum
jaayen bhi to kahaan jaayen