Thursday, January 13, 2011

Shaam ki antardwand.....

waqt pankh laga le udne lagta hai
sooraj haule haule andhere se judne lagta hai
aurr is peeli saanjh mein sahemti jaati hai roshni
gubaar hawaa mein khayaalon sang udne lagta hai

main nikalta hoon bechain kadmon se
haqeeqat se kuch sehma hua...
khwahishon mein uljha hua...

aur jaata hoon apne chaand ke yahaan
aur use akela dekh muraadon ko umr mil jaati hai
is waqt  zindagi sukoon paati hai

ye waqt main nahi chaahata ki koi mujhse chheene
kaash ki main thaam loon waqt ke pankh ko
taaki meri saanson ko mohallat mile aur ye lage jeene

khwahishen arsh pe rehti hain
aur yak-a-yak ho jaati hain mand
zeest pal mein apni se paraayii ho jaati hai
aur chhaa jaati hai mujhpe : shaam ki antardwand

No comments:

Post a Comment