Tuesday, September 24, 2013

Lo padi fir se kismat ki laat!!!!!

Lo padi fir se kismat ki laat
mujhi mein simat ke reh gayi meri kaayanaat
badaa itraata firta tha apni neeyat-e-shouk pe
hasraton ko parakhta tha chaaku ki nok pe
Ab us khanjar ka yun ban aaya, hue qatl ke haalaat
Lo padi fir se kismat ki laat

naukri-pesha,aashiq-parasti,gham-e-dil-e-taab(light due to sorrow)
kis baazaar se khariid laaoon main apni rooh-e-aab(respect for my soul)
maashooq ke sharton, waadon ne rakhaa barkaraar ijtiraab(thirst)
khuda ne bakshaa mujhko ye zeest(life) naayaab(beautiful)
ki mujhi mein simat ke reh gayi meri kaayanaat(world)
jab padi mujhpe fir se kismat ki laat

wo junoon-e-ishq mein deewaangi jataayen
adaayen numaayan kar ke mere roobaroo itraayen
aahen bharne pe wo hume dekh sharmaaye
par ab jab hum hue deewaane to hum hi se ghabraaye
aur chhod ke mujhko thaam liya unhone raqeeb ka haath
lo padi dil pe kismat ki laat

ab nahi dekh paata use main us gair ke saath
wafaa-jafaa mein dafan huye mere housla-e-jazbaat
khuda thodi zehmat kare,mujhpe ab to rahmat kare
uff ye unka faislaa,haaye-haaye is zamaane ke ilzaamaat
lo padi fir se mujhpe meri kismat ki laat