Monday, September 10, 2012

Mumkin .....!!!!!

ik ye meri duniya
ik ye tera zamaana
wo arsh pe tera makaam
aur zamiin pe mera thikaana

ek madmast toofan ke jhonke mein
main gubaar ban ke pahuncha tha arsh pe
ab wo jhonka tham gaya
to fir se aa gira hoon apne farsh pe

us aafreen ko apne sarzameen pe
tinke tinke mein talaash raha hoon
wo kahin nazar aati nahi hai
isiliye aankhon se lahoo bahaa raha hoon

fikr-e-duniya mein sar khapaata hoon
teri khoj mein main khud se laapata hoon
aksar us falak ko aah bharta hoon
ae aafreen main har pal ye fariyaad karta hoon
wo arsh pe tera makaam
aur zamiin pe mera thikaana
koi to aisi jagah hogi
jahaan mumkin hoga mil paana