tere bina kaate kate na raina
door kyun hai jab tu meri hai na
kahe jiya mera bhaaye nahi jeena
kyun chheen ke le gaye tum mera chaina
tere bina kaate kate na raina (2)
dagar dagar ab jaaon main
tujhko kahin bhi na paaoon main
ab ho nahi paata ye judaai sehna
door kyun hai jab tu meri hai na(2)
thaam le na mere haath ko
apna le na mere saath ko
{tu mujhse hai, main tujhse hoon na}(2)
fir fizuul mein kyun is dard ko sehna
tere bina kaate kate na raina(2)
tere jitne bhi kareeb jaaoon
faasle hi bas darmiyaan paaoon
ab har manzil mujhe bepanaah kar deti hai
ab har mehfil meri roosvaah si hoti hai
{teri hansi , teri milkiyat
tera tabassum,tere naina}(2)
In sab ke bina kaate kate na raina
Aa jaa na ..Tu meri hai na(2)
tere bina kaate kate na raina
door kyun hai jab tu meri hai na