Thursday, November 10, 2011

Sozish.....

haathon ke chand lakeeron ki
mere nazm, mere tehreeron ki
ek jazbaa bemukammal aur la-ilaaj hai
aur tanhaai.. tanhaai... behisaab hai

ikhtiyaar ki ek had hai yahaan
jisme beikhtiyaari ka sabab bhi hai
baadakhwaar si tabiyat mukarrar hai
aur labon pe mai ki talab bhi hai

kahin haath chutne ka dar hai
kahin rishton ke bikharne ka khauff hai

ek dehshat mein jee rahe hain hum
apni hi ummedon ko kinaara dene ki koshish mein
ek azaab mein khud hi se joojh rahe hain
aur anjaam ye hai ki:
zindagi basar ho rahi hai sozish mein