Sunday, January 15, 2017

Ashaar!!!!!

Badi namkeen maaloom padti Hain ab yaaden unki
Behne ke baad aansuon ka zaika jee ko khaara kar gaya
Unki lat aisi lagi mere zehn-o-dil ko
Meri rooh ko mere badan se naakaara kar gaya!!!!!

Tuesday, December 3, 2013

#####

ek khwahish jo asar kar gayi
meri sooni god bhar gayi
mera ansh , meri rooh ka hissa
milta julta kuch mere jaisa

wo chhoti chhoti si thirakti aankhen
wo naazuk pankhudi se kaanpte lab
wo chaand sa rang,wo dilkash si khushboo
kitna naayaab hai ye masoom yaarab

pehli baar un aankhon se mujhe taakna
mujhko apni nigaah se uska bhaanpna

nanhi nanhi si komal ungliyaan
chhote chhote se wo uske paanv
yun to ye chhoti si hai par
ise seene se laga kar milti hai rooh ko chhanv

ye pari hai meri ,yehi kaayanaat hai
meri koshishon , meri qurbaaniyon ki sougaad hai
waqt jaane kitna guzre,kitna thehre
itna ilm hai bas yeh meri aaghaaz hai
ye kisi  aur ki nahi hai
ye meri kal hai,meri aaj hai!!!!!



Tuesday, September 24, 2013

Lo padi fir se kismat ki laat!!!!!

Lo padi fir se kismat ki laat
mujhi mein simat ke reh gayi meri kaayanaat
badaa itraata firta tha apni neeyat-e-shouk pe
hasraton ko parakhta tha chaaku ki nok pe
Ab us khanjar ka yun ban aaya, hue qatl ke haalaat
Lo padi fir se kismat ki laat

naukri-pesha,aashiq-parasti,gham-e-dil-e-taab(light due to sorrow)
kis baazaar se khariid laaoon main apni rooh-e-aab(respect for my soul)
maashooq ke sharton, waadon ne rakhaa barkaraar ijtiraab(thirst)
khuda ne bakshaa mujhko ye zeest(life) naayaab(beautiful)
ki mujhi mein simat ke reh gayi meri kaayanaat(world)
jab padi mujhpe fir se kismat ki laat

wo junoon-e-ishq mein deewaangi jataayen
adaayen numaayan kar ke mere roobaroo itraayen
aahen bharne pe wo hume dekh sharmaaye
par ab jab hum hue deewaane to hum hi se ghabraaye
aur chhod ke mujhko thaam liya unhone raqeeb ka haath
lo padi dil pe kismat ki laat

ab nahi dekh paata use main us gair ke saath
wafaa-jafaa mein dafan huye mere housla-e-jazbaat
khuda thodi zehmat kare,mujhpe ab to rahmat kare
uff ye unka faislaa,haaye-haaye is zamaane ke ilzaamaat
lo padi fir se mujhpe meri kismat ki laat

Tuesday, July 23, 2013

#####Ayu

jab jab jahaan jahaan ,pyaar ki zikr hoti
mujhe apni-tumhari ,beete lamhon ki fikr hoti hai

tum to chhod gaye,khudgarzi mein muh mod gaye
tumhaari bewafaai beete wafaaon se shukr hoti hai

koi saamne nahi aata matlab paraston ki bheed mein
bemukammil waqt kis tarah mukhtasar hoti hai

ya rab zamaana mujhko khud mein milaata hi kyun hai
Jab Qayamat mein , main hota hoon aur hijr hoti hai

hifaazat nawaaza mere dil ne jiski aarzoo ko
us nigaah pe meri arz-e-haalat ab kitni beasar hoti hai
ki aaj dum bhi nikal jaaye to shikan aaye neeyat pe
unhe aaj humse azeez khud ki dagar hoti hai

kya unke seene mein bhi kabhi pyaar ki zikr hoti hai
jaane soorat ab kaun si seene mein ikhtiyaar hoti hai

TISHNAGI ko de gaye wo wafaaon ki sougaad
ki ab sukoon-o-wahem dard-e-tishnagi hoti hai

          ~~~~~TISHNAGI~~~~~

Friday, July 12, 2013

khushhaam-e-deed!!!!!


वाह रे तेरी तबीयत
वाह रे तेरी वफ़ाई
खुशहां-ए-दीद तन्हाई तन्हाई

कहते थे रह ना सकेंगे जो हुए जुदा तुमसे
कभी रिश्ता ना जोड़ना तुम हमारा गम से
अब हमे ही छोड़ कर हम पर गम निसार कर गये
और आज भी ये कहते हैं की वो हमसे प्यार कर गये
अब मुस्कुराऊं तेरी जफ़ा पे
की आँसू बहाऊं तेरी वफ़ा पे
वाह रे तेरी तबीयत
वाह रे तेरी वफ़ाई
खुशहां-ए-दीद तन्हाई तन्हाई

जब तक ज़िंदगी है साथी तुम ही हो
हर मंज़िल का कहते थे राही तुम ही हो
मंज़िल से जब नज़दीक हुए
हमसे जाने क्यूँ संग दिल हुए
अपनी ख़ुदग़रज़ी का हम पे रहम जता गये
जाते वखत भी अपना हम पे अहम जता गये
वाह रे तेरी तबीयत
वाह रे तेरी वफ़ाई
खुशहां-ए-दीद तन्हाई तन्हाई

वो बिस्तर की सिलवटों पे कर्वटो का रुबाब
आफरीं इश्क़ पे रूहानियत का सबाब
जाने क्यूँ आज भी है हुमको तुम्हारा इज्तिराब(प्यास)
की वो आएँगे इक दिन लेकर सुकून-ओ-ताब(लाइट)
कभी तो होगी ना
मेरे इश्क़ की सुनवाई
तेरी तबीयत .....
तेरी वफ़ाई.....
खुशहां-ए-दीद तन्हाई तन्हाई!!!!!

Monday, June 10, 2013

QAYAMAT

उनसे कुछ कहा ना गया जब क़यामत आई थी
लो अंजाम फिर ये हो चला,हम पे शामत आई थी

भीगे पलकों से उन्होने बस देखना ही मुनासिब समझा
उनके होठों के सिल जाने पर हम पे आफ़त आई थी

अपनी दलीलें,अपनी वफ़ा, अपनी नीयत ,अपना करम
एक तरफ़ा इरादों पे मुझ पे लानत आई थी

उनके नम निगाहों से बहती वो गुज़ारिश
मेरी वफ़ा के लिए बेवफ़ाई की ज़मानत आई थी

आशिक़ परस्त मिजाज़ को जब उन्होने परखा
जज़्बातों की इस दिल पे शिकस्त आई थी

रक़ीब से आशना हुए और इजात--क़त्ल मुकम्मिल किया
क्या खूब मेरे माशूक़ को मुझपे उल्फ़त आई थी

की उस घर में अकेले रिंद बन गये हम
या अल्लाह मेरे कर्मों की मुझपे मिल्कियत आई थी

तिश्नगी की आँसुओं का बाज़ार में ये दाम हो चला था
की लोगों ने ईट बरसाए थे ये कह के की दहशत आई थी

उनसे कुछ कहा ना गया जब क़यामत आई थी
लो अंजाम फिर ये हो चला,हम पे शामत आई थी

~~~~~ तिश्नगी~~~~~

Thursday, June 6, 2013

Ae pardanasheen chaand


रातों को ह्म भटकते हैं, नूर की तलाश में
वो आसमान का चाँद तो, कहकशां सितारों को बाँटता है

माना की ह्म वो अफ्सुर्दा नही
पर उस चाँद की हसरत का हमसे कोई परदा नही

फिर भी वो परदा नशीन बनता है हमसे
इस ज़माने की लुत्फ़ उठाने
पर जिस ज़माने की वो सोचता है
उसको अपने सिवा किसी और का कोई जज़्बा नही
आपने चाँद की हसरत का हमसे कोई परदा नही

रातों को ह्म भटकते हैं, नूर की तलाश में
वो आसमान का चाँद तो, कहकशां सितारों को बाँटता है