Wednesday, February 23, 2011

Antardwand-Khayaal

saheme saheme se mere khayaal
jaane kyun har roz karte hain majaal
ki aaj mukammil ho kar tanhaai pe fateh karna hai
ki kal is mukarar raat ko subah se rusvaah karna hai

ye raat is kadar mukarar ho kar aati hai
maano kaali siyaahi mein umr dubo rakhi ho maine
aur ye subah aati roz hai magar khaali haath.... jaise
kaanton ke paiband se ungliyaan chubho rakhi ho maine

ab wajah ijaat kar ke
saansen jazbaat se dooriyan karne lagi hain
meri kadmon ko gumraah kar ke
meri raahen ab manzilen dhoondne lagi hain

main jaaoon to jaaoon kahaan
so khada hoon usi mod pe
jahaan pe zindagi ko maine rusvaah kiya tha
jahaan zindagi gayi thi mujhe chhod ke

kadmon mein jaise ab bhanvar lipte hue hain
talaash raha hoon main tumhe har ch[a]nd mein
par tum nahi to ye kaayanaat numaaish ke siva kuch bhi nahi
aur mere khayaal sehem gaye hain isi antardwand mein



No comments:

Post a Comment