Saturday, January 15, 2011

Takfeen-2

aao aur fir hame ranj de jaao
zindagi nahi to hame fir se gham de jaao

na thakti hai aankhen, na rukti hai saansen
apna deed de jao, ye wahem de jao

saher se visaal ki khwahish dil mein liye jaaga hua hoon
mujhe nahi to in aakhri shammon ko inka karam de jao

aao na ki fir se mujhe karaar nahi hai
aakar mujhe tum apna nazar-e-karam de jao

le jao sab kuch jo kuch bhi bacha hai mere paas
ae huzur isi bahaane tum mere dar pe to aao

na khataa ki fir bhi sazaa ke haqdaar ho gaye
justju gar ye hai to mujhe zakhm de jao

par ho sake to ek dafhaa zarur mere paas aao
mujhe jiski sazaa mili wo gunaah bataa jao
mujhe tumse khauff hai fir bhi ae-nafas mere
apne nafrat ka mujhpe koi dastakhat de jao

No comments:

Post a Comment