Thursday, October 11, 2012

Messiah-e-Qaatil

Masihaa ko dard bayaan kya karoon
Qaatil ko dard bayaan kya karoon

ek hi rukh mein hain do shaksiyat
kahin khushfehmi hai.....
kahin hai wehmiyat.....
ek ishq bekhauff tha
aaj hai zamaana-e-zulmat
uski neeyat-e-shouk ko bayaan kya karoon
Qaatil ko dard bayaan kya karoon

Wo mujhse pooche kyun wafaa’ hai
wo mujhse karte rehti jafaa hai
“tu ishq ka paikar hai
teri rooh ishq ki pairahan hai
tu sukoon har taraf hai
teri saansen meri dhadkan hai”
jazb-e-wafa ko harfon mein bayaan kya karoon
Masihaa ko dard bayaan kya karoon

par tera yun rukh modna
mujhe apne haal pe chhodna
mujhse teri khushboo bhi hawaa chheen le gaya
jo tera hai wo mujhse tujhe chheen le gaya

Hm bhi ek sukhanwar hain
tere gham mein munavvar hain
tere tasavvur se rawaan rehte hain
tum aaogi ye dil hi dil mein kehte hain
karen aisa kya ki dil ko sukoon naseeb ho
karen aisa kya ki tu mere kareeb ho
ab is duniya ki khaanakharaabi mein
meri behisaab  ijtiraabi mein
ye tera sang hai…..
ye hai tera aastaan…..
Ae masihaa..mere Qaatil
Kya karoon tujhe bayaan