Sunday, January 30, 2011

adaa-e-ulfat

akela ek shaks tha
jiska koi nahi lakshya tha

bas chal raha tha jahaan hawaayen beh rahi thi
bas jee raha tha kyun ki saansen chal rahi thi

ek daleel khud se karta rehta tha:
chahoonga usko jisse mujhse pyaar hoga
ho jaaoonga uska jo mujh par nisaar hoga

tabhi chaand ki  kiranen lehraate hue aankhon pe padi
meri dhadkanen ghabraate hue tham gayi

is zulm-e-mohabbat pe hame aitbaar na tha
ab kisi ke bhi jazbaat pe hame ikhtiyaar na tha
par uski aankhon se wo do moti jab baras gaye
unki nigaah jab mere deed ke liye taras gaye
fir aitbaar hua
haan hame bhi unse pyaar hua
dil fir arsh ki bulandiyon pe behne lagaa
wo mere kaanon pe izhaar-e-mohabbat kehne lagaa


Tuesday, January 25, 2011

Chand aur Chakor


meri aankhon pe bas chandni padti hai
aur chaand door baadal mein soya rehta hai
us baadal ki aagosh mein chaand ko dekhkar
ye dil ek ajeeb si ghutan mein khoya rehta hai

main chakor ki tarah duur baitha...
apne chaand ko dekhta rehta  hun
uski chaandni ko nigaahon mein ghol kar
apne khwaabon mein maikash bharta hun

un chand kiranon ki chheeton se
main apni zindagi mein noor bharta hun
kaash main lafzon mein bayaan kar paata
ki pyaar tumhe kita mere huzoor karta hun

tum nazaren ferti nahi ho mujhse kabhi
par baadal mein samaa jaati ho
ye neeyam hai kudrat ka
ki tum dehleez ko laang nahi paati ho

ye chakor tumhe hi chaahta aaya hai
ye chakor tumhhi chaahega
ye haarega na yun mohabbat mein
ek din tumhe zaroor paayega!!!!!

Antardwand-4 : mere is raat ki subah nahi

Raat bhar unki deed ko aankhon mein saja ke rote rahe
sote sote uthe fir uth uth ke sote rahe

karwat bhi lena munaasib na samjha
kahin tumhara khwaab khayaal-e-gubaar mein gum na ho jaaye
meri chaahat mein jo saadgi hai
khauff hai mujhko ki kahin wo mera junoon na ho jaaye

kyunki roz raat ko mehfil sajti hai
aur mere tanha adhure khwaab seene pe dastak dete hain
main laachaar hun kyunki ye khwaab mere khwaab hi rahenge
fir bhi ye apna farmaan har roz arz karte hain

maain aankhen na kholun bhi to kab tak
apnihi dhadkanon ko kab tak ansuna kar doon
khud ko main kaabu mein rakh leta hun
par apne in lafzon ko kiase gumshuda kar doon

humraaz hoon aaj main apne huzoor ka
darta hun ek raaz na ban jaaun kahin
main tumhe pyaar na karoon aisi koi wajah nahi
par kya karoon : mere is raat ki subah nahi

Killing me softly...


my own desires aRE CONSPIRING AGAINST ME
A HINT OF LIGHT AND THEN PITCHED DARKNESS IS ALL WHAT I ACHIEVE
MY OWN HEART HAS FELT SUCCUMBED TO MY DESTINY
YET IN THIS ARRAY OF CONFLICT, LUV IS ALL THAT I BELIEVE


LUV.....
FOR WHICH ANY REASON STANDS NO JUSTIFICATION
FOR WHICH WHAT IS RIGHT IS JUST ANOTHER QUESTION
FOR WHICH SOMETIMES OBSESSION OVERPOWERS RELATION
FOR WHICH BELOVED IS YOUR SOLE DESTINATION

lUV RENDERS LIGHT TO THE DARKNESS ALL OVER
tHEN STEALS THE RAYS AS IF THEY WERE NEVER
EMBRACES YOUR BODY YOUR SOUL SO INTENSELY
AND MOULDS YOU INTO A PERSON SO STRANGELY

THAT YOU DONT REALISE AT THE START
LATER YOU DONT WANT TO REALISE
LYING UNDER THE MOON YOU BATHE IN ITS LIGHT
BUT STILL ITS NIGHT WHERE DARKNESS RESIDES

COMPOSED CALMNESS, SERENITY, ETERINTY,PERMANENCE
THESE WERE MY BELIEF BEYOND TRANSCENDENCE

IN THIS CONFLICT OF MY MIND N MY HEART
BODY N SOUL , DREAMS N REALITY
LIFE N DEATH,
A FEEL IS THERE N THAT IS IN ALL OF THESE
WHICH BREATHES IN EACH OF THEM SO STRANGELY
THAT I BREATHE MY DEATH AS I COUNT THE LIVES
WHICH COMES AND PASSES BY KILLING ME SOFTLY

Sunday, January 16, 2011

Antardwand-3 : The feel of being so incomplete

The feel of being so incomplete
Is gripping me from within
I cant cut it loose
As it also wants to stay in

I still love you ..
Being aware of all the realities
i dont know where to wander in peace
i am strolling down strange alleys

Oh dear dont feel bad
for my words are real
i love u a lot
and this is not unreal

Trust me, behold me..
Dont treat me as obsolete
If u r not there with me
The feel of being is so incomplete!!!

Saturday, January 15, 2011

Takfeen-3

aaiye huzur kis guroor mein wahem ko thaamen baithe hain
ye daaman hai raqeebon ka jo pairahan se baandhen baithe hain

raqeebon ne taamir ki hamari mohabbat ke khilaaf
aur aap unhi ko apne anjuman mein bulaye baithe hai

hans liya , bol liya ab kya nikaah tak baat jaayegi
unhe chodiye aap to khud bhi naadaan bane baithe hain

kaafir paraston ke rubaru kaun si nek justju panaah le payegi
wo zakhm dete hain mujhko aur aap muskuraye baithe hai

chir kar seena mera jab dil mein unhone jhaanka
to usme apni surat dekh wo khud pe itraaye baithe hai

khushwahemi mein hai wo isiliye aaj sach pe naqaab hai
jab aankh khulegi tab dikhega unko wo kya kar baithe hain

Tishnagi bhi na jaane kis umeed ki aas lagaye baithe hain
raeng rahe hain aur hausle arsh pe sajaaye baithe hain

Takfeen-2

aao aur fir hame ranj de jaao
zindagi nahi to hame fir se gham de jaao

na thakti hai aankhen, na rukti hai saansen
apna deed de jao, ye wahem de jao

saher se visaal ki khwahish dil mein liye jaaga hua hoon
mujhe nahi to in aakhri shammon ko inka karam de jao

aao na ki fir se mujhe karaar nahi hai
aakar mujhe tum apna nazar-e-karam de jao

le jao sab kuch jo kuch bhi bacha hai mere paas
ae huzur isi bahaane tum mere dar pe to aao

na khataa ki fir bhi sazaa ke haqdaar ho gaye
justju gar ye hai to mujhe zakhm de jao

par ho sake to ek dafhaa zarur mere paas aao
mujhe jiski sazaa mili wo gunaah bataa jao
mujhe tumse khauff hai fir bhi ae-nafas mere
apne nafrat ka mujhpe koi dastakhat de jao

Takfeen-1

jaao ki ab chaand ko tumse karaar nahi hai
suraj ki roshni ka bhi tumse koi darkaar nahi hai
na  mujhme ab wo junoon hai zamaane se ulajhne ka
ab to mujhe mout ka bhi intezaar nahi hai

Thursday, January 13, 2011

Shaam ki antardwand.....

waqt pankh laga le udne lagta hai
sooraj haule haule andhere se judne lagta hai
aurr is peeli saanjh mein sahemti jaati hai roshni
gubaar hawaa mein khayaalon sang udne lagta hai

main nikalta hoon bechain kadmon se
haqeeqat se kuch sehma hua...
khwahishon mein uljha hua...

aur jaata hoon apne chaand ke yahaan
aur use akela dekh muraadon ko umr mil jaati hai
is waqt  zindagi sukoon paati hai

ye waqt main nahi chaahata ki koi mujhse chheene
kaash ki main thaam loon waqt ke pankh ko
taaki meri saanson ko mohallat mile aur ye lage jeene

khwahishen arsh pe rehti hain
aur yak-a-yak ho jaati hain mand
zeest pal mein apni se paraayii ho jaati hai
aur chhaa jaati hai mujhpe : shaam ki antardwand

Saturday, January 8, 2011

ek khwaab hai .....
ek raat hai.....
ek chaand hai aur ho tum
aur khwahishon bhari hai chandni
jiske noor se dhul rahe hain hum
aaj jee lena chahata hun
aaj pee lena chahata hun
un nigaahon mei jo ziyaa hai
usse mehsoos karna chahata hun

aise aafreen adaa ki numaaish baar baar nahi hoti
meri adhuri khwahish bhi poori baar baar nahi hoti

taaron ki baarishen ho
kahkashan ka noor ho
maang ho mere huzoor ka
jisme sajaa mera sindoor ho

Antardwand-1


zindagi mein faili hui hai kaisi ye dhund
ki ho gayi hai saari manzilen ab gum
khwahishen ab mukammil hona ho gayi hain band
mere subah aur mere raat ke beech chhayi hai Antardwand!!!