Wednesday, April 20, 2011

Dooriyan

dil ne teri nigaah se chaahat ko jaana hai
dil ne teri dhadkanon se ulfat ko pehchana hai
dil ne jab jab saans li hai..
tere hi dum se li hai
dil ne apne wajood ko ab tera jaana hai

tum se hi duniya hai
warna sab bemaani hai ae-jaanam
tum se hi waqt ke chalne ka ehsaas hai
wagarna sab thanmaa thamaa sa hai ae-jaanam

main nahi jaanta ye duniya ki ritiyaan
main in sab se pare hona chaahta hun
bas tumhe kareeb bitha kar apne
tere nigaahon se maikashi peena chaahta hun

dil ki har dhadkan tujhme panaah chaahti hai
meri sukoot-e-wafaa har lamha tumko talaashti hai

bhar lo yun aagosh mein
ki tinke bhar ka bhi faasla na rahe
pighal jaao meri baahon mein tum aise
ki duur rehne ka ye silsila na rahe

No comments:

Post a Comment