Sunday, April 21, 2013

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya.....

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

kis kadar honthon mein kaayanaat dabaa rakha tha
aankhon ki nami mein hasraton ko sajaa rakha tha
aaj jab taskeen -e-ijtiraab ka ye anjaam aaya
hm ko izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

in chand alfaazon mein zeest simat gayi apni
kuch moun khayaalon ko haqeeqat mil gayi nayi
vaadon ke aitbaar ko ab nibhaana aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya

yun hi ab aagosh mein thaam ke rakhunga
ta-umr aapko  ae-naaz aaraam se rakhunga
sharm-o-hayaa ko aapki nigaahon se peena aaya
dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya

dil ke dar-o-deewar ko hasna aaya
jab izhaar-e-mohabbat unse kehna aaya

No comments:

Post a Comment