Tuesday, May 1, 2012

main ishk karoon ya rashk karoon .....


main ishk karoon ya rashk karoon
khud se kab tak ye kashmakash karoon

mere zahen meri soch tak
uski galiyon ki mod tak
apne raqeeb ki neki par
apne aankhon-dekhi par
main ishk karoon ya rashk karoon
khud se kab tak ye kashmakash karoon

maana ki tu mera nahi
par mera hi to rehta hai
maana ki vo tera nahi
par tera hi to rehta hai
is zammane ki asliyat par
apne mohabbat ki roohaniyat par
main ishk karoon ya rashk karoon
khud se kab tak ye kashmakash karoon

apne maaiine main samajh nahi paata
tere maaiine mujhe raas nahi aate
kyon baatoon main tujhe
jab tu mujhse juda nahi hai
meri bechain tanha raaton pe
tere palkon ki ridaa nahi hai
yahaan kabhi na khatam hone waali ek raat hai
yahaan meri mohabbat hai,mere haalaat hai
aise mein:
main ishk karoon ya rashk karoon
khud se kab tak ye kashmakash karoon


No comments:

Post a Comment